Kabhi ruk gaye, Kabhi chal diye, Kabhi chalte chalte bhatak gaye
Yunhi umr saari guzaar di, Yunhi zindagi ke sitam sahe
Kabhi neend mein, kabhi hosh mein, Tu jahan mila tujhe dekh kar
Na nazar mili na zabaa'n hili, Yunhi sar jhuka kar guzar gaye
Kabhi zulf par, Kabhi chashm par, Kabhi tere haseen wajood par
Jo pasand the meri kitab mein, Wo she'r sare bikhar gaye
Mujhe yaad hai kabhi ek the, Magar aaj ham hain juda juda
Wo juda hue to sanwar gaye, Ham juda hue to bikhar gaye
Kabhi arsh par, Kabhi farsh par, Kabhi un ke dar, Kabhi dar badar
Gham-e-Aashiqui tera shukriya, Ham kahan kahan se guzar gaye!
- Parveen Shakir
Comments ()