Udasiyon ka ye mausam badal bhi sakta tha
Wo chahta to mre sath chal bhi skta tha
Wo shakhs tune jise chhorne me jaldi ki
Tere mizaj ke sanche me dhal bhi sakta tha
Wo jaldbaaz khafa ho ke chal diya warna
Tanazaad ka kuchh hal nikal bhi sakta tha
Ana ne hath uthane nahin diye warna
Meri dua se wo pat'thar pighal bhi sakta tha
Tamam umr tera muntazir raha mohsin!
Ye aur baat ki rasta badal bhi sakta tha
- Mohsin Naqvi
Comments ()